Chandani
Chand ni , pr chandani hu , daag bhi hai , pr mehkti bhi hu .
Fullo ke tinke ambar se ginke,
Laaii thi sapne ke jhole me bharke….
Bagiya banai thi sapno ki apne …
Jala diye raat bhar ek kone me sehaam ke …..
Bojh ni me kisi ke sar pe, na manjhdar me naiyaaaa .
bikti bhi hu , ladti bhi hu . , amma bhi hu , voh chiriyaan bhi huu ,
Udna mujhe bhi hai , pankh khud banana chahti hu .
Tere kaandhe se aage bhi ek duniya banana chahti hu .
Ek dhaal me khud ke liye banan chahti hu ,
Me aurat hu … ess pejaib se aage bhi apni awaz mehkana chahti hu .
Tere kashti me kabtk bethungi ,
Khudki nadhi me terna chahti hu .
Pinjara kholdo kewal . me apni ek duniya banan chahti hu
Jaha bhaih ni , abhimaan hoga ,
Jaha apmaan ni samaan hoga ,
Mere yodi me jo saaman ka bhoj dala hai tumne , uska aihsaas sbko karana chahti hu .
Apne hissab se ab me apne pankh bunna chahti hu .
Ess bindiya se jyada chamakna chahti hu .
Pinjara kholde kewal me apni ek duniya banan chahti hu .
Maa bhi hu , beti bhi hu , kisi ki biwi , or kisi ke ghr ka saaman bhi hu ,
Aisa ni ki kaffi ni hai ye mere liye . pr kya karu , ek insaan bhi hu … sapne hai kuch mere bhi .
Kbtk kirdaar nibhaungi .. pinjara kholdo ye mere me . me assman me khudke rang failaungi ..
Asthithw mere bhi hai .. ek abala ni me ,, durga ka hi roop hu ..
Gori bhi hu kalli bhi hu , satti bhi tere ghr ke kehlati hu ..
Jb sbka kirdaar me nibhati hu .. ab mein khudke rang se ek naya rang mehkana chahti hu …..
Chehakne ka moka doge kyaaa ? me apne sapne vapas se bunna chahti hu .
Chand ni , pr chandani hu.!
Pallavi Singh.
Comments